Bin mausam barsaat mein bheeg kar Kabhi humhe yaad kiya tha aapne Dhup mein paseena saaf karne ke liye hamara dupatta cheen liya tha aapne Meri har chotti si baat yaad rakh kar Pyaar badaya tha aapne Naraaz hue jo hum, god mein uthakar Humhe manaya tha aapne Itni ladkiyon ka naam lekar Humko jalaya tha aapne Mohabbat kise kahte hai Yeh bhi data kar hi samjhaya tha aapne Humse bina pucche Humhe hath lagaya tha aapne Hamare daatne per bhi Hath kuch aur aage badaya tha aapne Ghar ke bahar hamare khayal ke bina na nikale Yeh wada nibhaya tha aapne Humhe kuch de sake isliye Kuch paisa bachaya tha aapne Hum har us pal ko yaad karte darte hai Jo hamari sans bankar bitaya tha aapne Hum us ped ke niche jaane se darte hai Jis ki chav mein gusse se kuch samjhaya tha aapne Sach kahe to humne har lamha Aapki baatoin ke saath bitaya hai Humne aapka zooth pakad liya hai Kai baar yeh raaz apse hi chupaya hai Shayad duriya badne se pyaar kam ho jaata hai Kaam mein gum ho kar kahi kho jaata hai Per jab pyaar intezaar ban jaata hai To ibbadat kehlata hai.Birth sign: Aries
You need to log in to edit this poem if it is yours.
View more poems by Shivani.